Kanghar is a hot pot in kashmiri that saves people from the chill of winter... I named this blog as KANGHAR because nostalgia is letting me live in the chill of life This is the collection of the Beautiful and heart stealing picturesque photographs that came across me. CHECK THE TEMP OF MY KANGHAR

Monday, July 03, 2006

Tamana part3

1. hazaaro pal tumharay ben..
na poocho kaisay kaatay hain..
kabhi yaadain rulaati hain..
kabhi mosem sataatay hain,,
ussay keh do hum aatay hain..
humain mayoos na karna..
humara maan rak layna..
humain wapas nahein jana..
humain dil main basa laina..
humain apna bana laina..
bohut tarhpay huway dil say..
bohut rootha nahein kartay..
muhabbat to ebaadat hai..
issay ruswa nahein kartay..
zamanay say chupaatay hain..
kabhi chrcha nahein kartay..
sanam aisa nahein kartay..
sanam aisa nahein kartay..


2. Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha.
Kashti K Musafir Nay Samandar Nahin Dekha..
Bay Waqt Agar Jaoonga Sab Chonk Pare Ge..
Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha
Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Par Nazar Hai..
Ankhoon Ne Kabhi Mail Ka Patther Nahin Dekha...
Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain...
Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha...
Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine...
Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha..
Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminay..
Jo Choor Dia Phir Use Moor Kar Nahin Dekha..
Khat Asa Likha Hai K Nagine Se Jare Hain...
In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha...
Patther Mujhay Kehta Hai Mera Chahne Wala..
Main Moum Hoon Usne Mujhe Choh Kar Nahin Dekha


3.Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..
Meri ratein….. teri yadon sey sajee rehti hain
Meri sansen teri khushbo mein basi rehti hain
Meri ankhon mein tera sapna saja rehta hai
Haan…mere dil mein tera aks basa rehta hai
Iss tarah merey dil key bohot paas ho tum
Jis tarah paas hi sheh e rag ke Khuda rehta hai
Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..!!

4.Aajeeb Shaam khadi hai
Kahin Se Aajaoooo
Bari Uddas Ghadi Hai
Kahi Se Aajao
Kisii Se Milna So
Milte Hi Pher Bichad Jana
Saza Ye Itni Bari Hai
Kahii Se Aajao
Bohat Kathan Hao mere Dost
Hijer Ka Mosam
Judai Bol Padi Hai
Kahii Say Aajao
Zamana Jis Ko Samajhta Hai
Motiyon ki Chamak
Wo Aasoon Ki Ladi Hai
Kahii Se Aajaoo...

5.Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai
Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai
Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai
Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai

6. Tanha rehna seekh rahaa hoon
Mar kay jeena seekh rahaa hoon
Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh rahaa hoon
Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh rahaa hoon
Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh rahaa hoon
Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh rahaa hoon
Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh rahaa hoon
Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh rahaa hoon
Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh rahaa hoon
Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh rahaa hoon
Rotay rotay auron par
Khud pay hansna seekh rahaa hoon
Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh rahaa hoon
Is pay hairan hotaa hoon
Kartab, kya kya seekh rahaa hoon
 
Google