kanghar

Kanghar is a hot pot in kashmiri that saves people from the chill of winter... I named this blog as KANGHAR because nostalgia is letting me live in the chill of life This is the collection of the Beautiful and heart stealing picturesque photographs that came across me. CHECK THE TEMP OF MY KANGHAR

Thursday, July 26, 2007

Shatadh fir seh

Shayadh jabh tum yeh padoh wahan suraaj ki kirneh hogi
Shayadh jabh tak mai likhon yaha Suraj dall gayah hogah

Roz aajh kal mai suraj ki kiranoo ko dekhtah hoon
Sonchtah hoon ki kaash mai bhi inke sangh jaa pawoon

Shayadh is jaahan seh uss jaahaan tak pahunch pawoon
Fir dartah hoon kahin ... badalun ke sayeh mai ...
kahi ruk toh Na jawoongha …

Hawah seh duhaar kartah hoon ki mujhe lechalo tum tak
Fir raste mai tufaan seh pehle.. dartah hoon
kahin hawah bi thamm na jayeh…

Koi toh rastah hogah mere dil seh tumahre dil tak
ya Ki shayadh kabhi maineh soncha na hogah..


Shayadh dil ki batein sonchneh ki nahi hoti
Is liyeh mai aajh tak sonch mai hun

Ki shayadh mai yeh sonchna bandh karun
Aur sonch seh bahar aakeh fir tumhe yaadun mai mil sakun

Jahan mera wajoodh nahi …
jahan mai mujhkoh pehchantah nahi
Jahan waqt mere hokeh mera nahi…

Shayadh mai aAjh fir seh sonchtah hoon..
Ki kassh mai bas tumahre ru ba ruh hoon..
aur yeh gazal suna raha hoon...

Shayadh mai abh likhtah hoon
Shayadh mai abh Dikhtah hoon
Tumhare ru ba ru abh mai chaltah hoon...

Monday, July 03, 2006

Tamana part3

1. hazaaro pal tumharay ben..
na poocho kaisay kaatay hain..
kabhi yaadain rulaati hain..
kabhi mosem sataatay hain,,
ussay keh do hum aatay hain..
humain mayoos na karna..
humara maan rak layna..
humain wapas nahein jana..
humain dil main basa laina..
humain apna bana laina..
bohut tarhpay huway dil say..
bohut rootha nahein kartay..
muhabbat to ebaadat hai..
issay ruswa nahein kartay..
zamanay say chupaatay hain..
kabhi chrcha nahein kartay..
sanam aisa nahein kartay..
sanam aisa nahein kartay..


2. Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha.
Kashti K Musafir Nay Samandar Nahin Dekha..
Bay Waqt Agar Jaoonga Sab Chonk Pare Ge..
Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha
Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Par Nazar Hai..
Ankhoon Ne Kabhi Mail Ka Patther Nahin Dekha...
Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain...
Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha...
Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine...
Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha..
Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminay..
Jo Choor Dia Phir Use Moor Kar Nahin Dekha..
Khat Asa Likha Hai K Nagine Se Jare Hain...
In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha...
Patther Mujhay Kehta Hai Mera Chahne Wala..
Main Moum Hoon Usne Mujhe Choh Kar Nahin Dekha


3.Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..
Meri ratein….. teri yadon sey sajee rehti hain
Meri sansen teri khushbo mein basi rehti hain
Meri ankhon mein tera sapna saja rehta hai
Haan…mere dil mein tera aks basa rehta hai
Iss tarah merey dil key bohot paas ho tum
Jis tarah paas hi sheh e rag ke Khuda rehta hai
Tum ko malom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho..!!

4.Aajeeb Shaam khadi hai
Kahin Se Aajaoooo
Bari Uddas Ghadi Hai
Kahi Se Aajao
Kisii Se Milna So
Milte Hi Pher Bichad Jana
Saza Ye Itni Bari Hai
Kahii Se Aajao
Bohat Kathan Hao mere Dost
Hijer Ka Mosam
Judai Bol Padi Hai
Kahii Say Aajao
Zamana Jis Ko Samajhta Hai
Motiyon ki Chamak
Wo Aasoon Ki Ladi Hai
Kahii Se Aajaoo...

5.Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai
Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai
Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai
Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum
Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai
Hum apni zindagi se kiun haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai

6. Tanha rehna seekh rahaa hoon
Mar kay jeena seekh rahaa hoon
Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh rahaa hoon
Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh rahaa hoon
Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh rahaa hoon
Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh rahaa hoon
Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh rahaa hoon
Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh rahaa hoon
Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh rahaa hoon
Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh rahaa hoon
Rotay rotay auron par
Khud pay hansna seekh rahaa hoon
Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh rahaa hoon
Is pay hairan hotaa hoon
Kartab, kya kya seekh rahaa hoon

Friday, June 02, 2006

Time to Seek Asylum

Last few days have been depressing and everything I see around is going wrong.
I though it is the way we think and that is what makes things look wrong ...
But it isn't so .. things are really bad..

1. 546 Farmers have taken the path of suicide in Maharashtra because they couldnt sell the cotton . evry day three farmers are commiting suicide

2. So many people are getting killled in JK and Our govt pretends that all is fine

3. Just to keep Vote Bank straight and perfect ... th Govt has increased OBC reservations to 27% .increasing infrastructure is impossible and It is jut the gambit.In long run the prestigue of all thesebig Institutes will be ruined that have helped us till date to stand talled in World Order

4. Now the new Controversary about reserbation n Private Companies... I feel that would be the last death blow to Civil society in India and we will be back to dark ages 1500 years back where casteism and racism were the order of day.

Merit will die a slow death and our politicians will make sure that we sooner ort later become eligible to receive UN aid for third world countries.

I m depressed and feel like giving up this identity and seek asylum in some other country... this constituition and gvt couldnt protect me in 1990 and then what will it do now.. am I born to live through out as captive to circumstances...

Can I give up this AC office and AC Homea nd cahllenge the circumstnces on metal hardened Road ... Ohhhh what a tempest..in luxury we are lost

Young dont know truth and old have forgotten it long back....may be I will keep myself apart to tell truth to our children...Lord save my country

Wednesday, December 21, 2005

Tamana Special 2

1.

Khushiyaan mangi thi Khudha se
Woh La jawaabh fhool thama gaye
THodi Khushi Manghi JHo duwa mai
Toh Aapse Milake Sabse KHsuhnaseebh bana gaye

2.

Ishaq Aisah karoh ki Dhadkan mai bas jaye
Sans BHi loh Toh KHushbu Uski Aayeh,
Pyaar ka Nasha Ankhon Pe chayeh
Baat KOi bho ho Par Naam usi ka Aayeh


3. Kehde Har baat Zubaan Se zaruri toh nahi
Zindaghi Guzri hai adhi puri toh nahi
Samajhenghe Wo Dil Ki dastaan Nigahoon Se
Dhur zaroor baithe hai Dilon mai DHuri toh Nahi


4.
Yaad Karte Hai Yaroon Ko ...
Yaadoon Se dil Bhar aata hai ...
Kabhi sath Jiya karter the Sabh
Aajh Milneko Dil taras jhata hai...


5.
Jabh bhi yaad aati hai Muskura leteh hai
Kuch Palo'n ke liye Har gham bhula dete hai
Kaiseh bhiigh sakti hai palke aapki
Aapke Hisseh ke aansu to hum baha lete hai

6.

Nasha Hum KIya karteh hai
Ilzaam Sharabh ko diya karte hai
Kasur Sharaabh ka nahi hai
Unkah hai jinka chehra hum
Jaam mai talsh karteh hai ...

Tamana Special

1.
Ae Palak Tu Bandh Hojha
Khawaboon mai unki Surat toh Nazar aayeghi
Intezar toh Subah dubhara Sharu Hogha
Kam se kam Raat KLHushi se toh kat jayeghi

2.

Kuch Log Khas Hoteh He
Har pal pas hoteh hai
Khushiyun mai Shamil hote,
Aur Gham mai shareek hoteh hai
Logh unhe Dost Aur Hum unhe Aap kehteh hai

3.
Palkun mai Qaid kuch Sapne hain
Kuch Beganeh kuch Apne hai
Na janeh kya kashish in KHayaloon mai
Humse dhoor kitneh bhi ho woh
Fir bhi woh Apne hai

4.

Mohabbat Har Insaan ko Aazmati hai
Kissi se ruth jaati hai
Ore kisipe Muskurati hai
MOhabbat khel aisah hai
Kisika kuch nahi jaata
or kisiki Jaan jaati hai

5.

Tamana ne Zinadagi ke aanchal mai sarr rakhkar poocha
Mein kabh poori hoghi ?
Zindagi ne usseh se kaha
Jho Puri ho jaye Woh Tamana hi kya....


6.
Main Lafjon Se kuch bhi ijhihaar Nahi karti
Iskah matlabh yeh nahi ke main tum se pyaar nahi karti
Chahta Hoon Mai tujhe bahut lekin
Terio SOch me apna Waqt Barbaadh nahi karti
Tamasha na ban jaye kahin MOhabbat
Isliye Apne dard Ka IZhaar nahi karti

Jho Mila hai Ussee mai kush hoon
tere liyeh Khudha se takraar nahi karti
Par kuch toh baat hai teri fitrat me zalim
Warna Tujhe Chahne ki khata nahi
BHarr bhaar Nahi Karti...

Thursday, July 15, 2004

All teh Coals of Kanghar

I took some time of this weekend and scanned my pics with a new HP scanner and it was more easy to load them at my Photo Shoot in Yahoo.
 
I have kept them in albums..Dont forget to watch out the best/Worst  of my life there at http://photos.yahoo.com/vwangoo
 
Enjoy Madi as they say in Banglore

Tuesday, June 08, 2004

My home on the Banks of River Jhelum(Vitasta) in Kashmir.

King Porus lost to Alexender but one his Heart on this bank,I wish I could have won some heart...

 
Google