Kanghar is a hot pot in kashmiri that saves people from the chill of winter... I named this blog as KANGHAR because nostalgia is letting me live in the chill of life This is the collection of the Beautiful and heart stealing picturesque photographs that came across me. CHECK THE TEMP OF MY KANGHAR

Thursday, July 26, 2007

Shatadh fir seh

Shayadh jabh tum yeh padoh wahan suraaj ki kirneh hogi
Shayadh jabh tak mai likhon yaha Suraj dall gayah hogah

Roz aajh kal mai suraj ki kiranoo ko dekhtah hoon
Sonchtah hoon ki kaash mai bhi inke sangh jaa pawoon

Shayadh is jaahan seh uss jaahaan tak pahunch pawoon
Fir dartah hoon kahin ... badalun ke sayeh mai ...
kahi ruk toh Na jawoongha …

Hawah seh duhaar kartah hoon ki mujhe lechalo tum tak
Fir raste mai tufaan seh pehle.. dartah hoon
kahin hawah bi thamm na jayeh…

Koi toh rastah hogah mere dil seh tumahre dil tak
ya Ki shayadh kabhi maineh soncha na hogah..


Shayadh dil ki batein sonchneh ki nahi hoti
Is liyeh mai aajh tak sonch mai hun

Ki shayadh mai yeh sonchna bandh karun
Aur sonch seh bahar aakeh fir tumhe yaadun mai mil sakun

Jahan mera wajoodh nahi …
jahan mai mujhkoh pehchantah nahi
Jahan waqt mere hokeh mera nahi…

Shayadh mai aAjh fir seh sonchtah hoon..
Ki kassh mai bas tumahre ru ba ruh hoon..
aur yeh gazal suna raha hoon...

Shayadh mai abh likhtah hoon
Shayadh mai abh Dikhtah hoon
Tumhare ru ba ru abh mai chaltah hoon...

No comments:

 
Google